TikTok Kya Hai , What is TikTok in Hindi

TikTok Lips Sync comedy or pratibha shali video banane or share karne ke liye ek IOS or Android Social Media App hai .

Tiktok ek aisa naam jo aaj ke dino me har koi janta hai , use kiya ho ya na kiya ho lekin naam jarur suna hoga .

Saal 2024 me TikTok word trend kar raha tha , indonesia or india ne TikTok ko ban karne ke order bhi diye the par TikTok ke hugg fans ke chalte TikTok ko ban nahi kar paye .

TikTok Kya Hai or TikTok ki shuruwat kaise hui , aaj hum is post me isi ke bare me janege .

TikTok kya hai ?

TikTok Lips Sync comedy or pratibha shali video banane or share karne ke liye ek IOS or Android Social Media App hai .

TikTok Application ko 2024 me ByteDance dwara China ke bahar desh ke liye launch kiya gya tha.

ByteDance ne 2016 me Douin name se is app ko china me launch kiya tha , or China me bhi is app ko logo ne bahut pasand kiya tha .

Read Also – TikTok Se Paise Kaise Kamaye Jate Hai !

TikTok ek freeware app hai jise ham bilkul free me use kar sakte hai , TikTok par aaj ke yuva apne acting skills ki madad se logo me dhoom macha rahe hai.

TikTok ki shuruat kese hui thi or is app ko banane me App ke malik ko kya kya problem hui thi iske bare me main aapko niche bata raha hu .

TikTok ki shuruwat kab kaise hui thi ?

Sal 2014 me Alex Zhu or Luyu yang , do dosto apas me milkar ek Educational app banane ko socha .

Alex ne socha ki ek aisa app banaya jaye jis se log short video ki madad se use samjh sake , isliye unhone ek short video sharing platform banaya .

Par ye idea bhi unka fail raha kyunki short video me Education se related qus ka answer nahi mil pata tha .

Video ka time kam hone karan ye app flop ho gya Alex or Luyu ne milkar 2 Million doller invest karke ek app ko banaya tha . Par us app ko logo ne pasnd nahi kiya .

Lekin Alex ne har nahi maani , ek din alex train me travel kar rahe the , alex ne dekha ki log train me hi khud ki selfie , Photo , Video shoot kar rahe the .

Read Also – TikTok Par Video Kaise Banaye !

Baad me us video me music dal kar share kar rahe the , us time unke mind me kuch naya karne ko socha par us time alex ne aisa nahi kiya .

Par ek din Kisi tv show me ek program chal raha tha , jisme artist background me chal rahe music par Lips Sync kar rahe the or us song par react kar rahe the.

Unhone tab socha kyu na ek aisa app banaya jaye , jispar background me chal rahe song par log apne photo or video bana kar logo ke sath share kar sake .

Tab Alex or Luyu ne milkar ek short video creator app banaya, or uska naam Music.ly rakha .

Logo ne is short video creator ko bahut psand kiya , dekhte hi dekhte app ko million me install kar liya .

Log Music.ly video ko social media platforms par bhi khub share kar rahe the , par alex ko fir bhi thodi si problem dukh rahi thi App me .

Kyunki jo video social media par share ki jati thi , us video ka viewer ko ye nahi pata chal pata tha ki ye video kis platform par bani hai.

Isliye Alex or Luyu ne milkar video me Apne app ka Logo merge karne ka socha , or ye trick unke liye kaafi madadgar sabit hui , or app logo ko bich trend karne laga.

Sal 2017 me ByteDance ne Music.ly app ko 2 billion doller ka khareed liya , or Music.ly ka naam badal kar TikTok rakh diya .

Read AlsoLike App Se Paise Kaise Kamaye !

Ab Music.ly or bhi jyada future provide kar raha tha , shirt videos ke sath usme bahut tarah ke 3d effect bhi aane lage.

Dosto yahi thi TikTok ki shuruwat se lekar ab tak ki yatra , asha karta hu aapko ye post pasnd aaya hoga .

Conclusion

TikTok kya hai , or tiktok ki shuruwat kab hui thi , iske bare me maine aapko aasan bhasha me samjhane ki kosish ki hai .

Umeed karte hu aapko TikTok ke safar ke bare me padh kar acha laga hoga. Is post ko apne dosto ke sath social media kar share karna na bhuke .

Leave a Comment